EK TARFA PYAR

  

 

Dil mein daba rakha hai ye baat,

Pyar karta hu tumse din or raat.



Lafson se baya na kar pata hu,

Feelings chah kar bhi chupa n pata hu.


Dil hai ye kambakhat ke manta nhi, 

Pyar jisse karta hu itna ke wo janta nhi.


 Ye dil hai aisa karta hai tumse itna pyar, 

Darta hai itna ki kar na pata ikraar.


 Darr lagta hai har waqt ke tumhe kho na du, 

Dil karta hai kismaton ka likha modd du.


 Aasaan nhi ektarfa pyar karna,

 Dost bankr har waqt tere saath rahna.


 Mil jayegi agar naseeb mein likhi hogi tu, 

Force kar na sakta mai  kunki zindagi hai meri tu.


Tu jab hasti hai tham jata hai ye pal,

 Teri hasi aisi he bani rahe chahe mai rahu ya na rahu Kal. 


Meri khushi usme hai jisme khushi hai teri,

 Sada khush raho  yhi duaa hai meri.













   

1 comment:

Featured post